Woh humsafar tha magar us say hum-nawai na thi
Keh dhoop chhaaon ka aalam raha, judai na thi
Keh dhoop chhaaon ka aalam raha, judai na thi
Adawaten theen, Taghaful tha, Ranjishen theen magar
Bicharney waalay main sab kuch tha magar Bewafai na thi
Bicharney waalay main sab kuch tha magar Bewafai na thi
Bichartay waqt un ankhon main thi hamari Ghazal
Gazal bhi woh jo kabhi kisi ko sunai na thi
Gazal bhi woh jo kabhi kisi ko sunai na thi
Kisey pukaar raha tha woh doobta hua din
Sada to aayi thi lekin koi duhai na thi
Sada to aayi thi lekin koi duhai na thi
Kabhi yeh haal keh dono main yak-dili thi bohot
Kabhi yeh marhala jesey keh Aashnai na thi
Kabhi yeh marhala jesey keh Aashnai na thi
Comments
Post a Comment